Friday, 19 October 2012

Zindagi Apne tane bano se kyun uljhae mujhe
            Jab bhi suljhna chahu main to aur bhi uljhaye mujhe
Na samjh payi kabhi main is zindagi ko
            Nchahte hue bhi kuch rangeen khwaab dikhaye mujhe
ji rhi hun sapno ki duniya main
             Sapno main hakikat ko chupaye hue
Kya ji rhi hun zindagi main
             yaa sirf kuch jhoote naquaab hai mujhe is zindagi ne pehnaye hue
Kya ker sakungi  vishvas kissi per
             yaa sab hain yahan per dusro ka dil dukhaker aaye hue
Nhi chaha kabhi maine apno ka dil todna
              phir kyun khfa hue mere apne ya apno kanaquaab chdaye hue
             

1 comment: