Sunday, 11 November 2012

Pyaar : na koi shikwa na shikayat

kyun uljh gyi meri zindgi teri  mohobbat main
          kyun badal rhi hun main khud ko tere liye
nhi janti hun main ya na janne ka dikhwa ker rhi hun
          per aaj pta lga humme pyaar ki kyun koi definition nhi hoti
Ab tak samjhti thi pyaar shi galat sab dekh ker hota hai
          per aaj pta lga ki yeh to kuch nhi dekhta bus ho jata hai
kuch  log kisi ke liye saalon intezaar kerte hai, shaayad woh bina umeed kisi ka intezaar pyaar hai
          kuch logg yeh jante hue ki woh kabhi humme mil nhi sakti rah unki dekhte hai  shayad issi ka naam pyaar hai
kuch log  saari umar apne pyaar ko jalte hue dekhker  uski tadap dur kerne ke liye hr koshish kerte hain shayad issi ka naam pyaar hai
            Kuch log jalte rehte hai dard main apne pyaar ke liye shayad issi ka naam pyaar hai
kuch log jo hr pal  kisi ko yaad kerke muskurate rehte hain shayad woh muskuraht ek pyaar hai
            Pyaar sirf vishwaas nhi hai  vishwaas tut jane per bhi dobbara kisi pe vishwas kerna shayad pyaar hai
Pyaar ka milna pyaar nhi hai Apna pyaar na milne per bhi kisi ke pyaar ki kadar kerna pyaar hai
            Apne pyaar ko bewfa kehna pyaar nhi hai , hai bewfa woh to usse bhi pyaar ka ehsaas dila ddena  pyaar hai
Kya khoya tumne  kya nhi tumhare paas woh nhi btata kitne khush naseeb ho tum , jo tumhare paas hai jinhe tumhari fikr hai  unke liye ji gye tum to woh pyaar hai
 pyaar pyaar Zindgi ko sahi mayne de deta hai yeh pyaar
                    Pather ko bhi mom bna deta hai yeh pyaar
Pyaar her kisi ke bus ki baat nhi  , dil tutne ka dard sh ker bhi jo pyaar kre woh pyaar hai

No comments:

Post a Comment