shukriya shukriya sukriyan eh khuda
jo tune mujhe usse milaya
dur hai woh aaj mujhse
per meri her aaht main woh hai smaya
na jane kyun hhua pyaar humme usse
per humne is pyaar main khud ko hai paya
kuch khoya nhi maine is pyaar main
bus use nhi hai maine paya
bahut kuch sikha gya woh mujhe
ab to naam uska her pal meri zubann per hai aaya
nhi bhula sakte hum usko
per fir kyun nhi humne uska saath nibahya
shayad yeh halat sahi nhi hai
ya phir shayad humme itni kabiliyat nhi ki
jakhm dekr bhi humne usse, nhi usse bhulaya
sochti thi dur ja sakti hun main usse
per apne hi aks se dur koi kahan rh paya
nhi reh sakti uske bina
woh to hai meri saanson main smaya