Wednesday 28 November 2012

yeh dil manne na eh humdum

Kya hua hai mujhe
                         Kyun khffa mera dil tujhse
Kaisa hai Yeh  Dard  Ka Alam
                         Kyunn  Simtta nhi tu mujhme eh humdum
Kya khta h meri
                        Kyun kr rha h hum pr yeh sitam
Manne Na dil  Bus main ab nhi rha yeh dil mere humdum

Sunday 11 November 2012

Pyaar : na koi shikwa na shikayat

kyun uljh gyi meri zindgi teri  mohobbat main
          kyun badal rhi hun main khud ko tere liye
nhi janti hun main ya na janne ka dikhwa ker rhi hun
          per aaj pta lga humme pyaar ki kyun koi definition nhi hoti
Ab tak samjhti thi pyaar shi galat sab dekh ker hota hai
          per aaj pta lga ki yeh to kuch nhi dekhta bus ho jata hai
kuch  log kisi ke liye saalon intezaar kerte hai, shaayad woh bina umeed kisi ka intezaar pyaar hai
          kuch logg yeh jante hue ki woh kabhi humme mil nhi sakti rah unki dekhte hai  shayad issi ka naam pyaar hai
kuch log  saari umar apne pyaar ko jalte hue dekhker  uski tadap dur kerne ke liye hr koshish kerte hain shayad issi ka naam pyaar hai
            Kuch log jalte rehte hai dard main apne pyaar ke liye shayad issi ka naam pyaar hai
kuch log jo hr pal  kisi ko yaad kerke muskurate rehte hain shayad woh muskuraht ek pyaar hai
            Pyaar sirf vishwaas nhi hai  vishwaas tut jane per bhi dobbara kisi pe vishwas kerna shayad pyaar hai
Pyaar ka milna pyaar nhi hai Apna pyaar na milne per bhi kisi ke pyaar ki kadar kerna pyaar hai
            Apne pyaar ko bewfa kehna pyaar nhi hai , hai bewfa woh to usse bhi pyaar ka ehsaas dila ddena  pyaar hai
Kya khoya tumne  kya nhi tumhare paas woh nhi btata kitne khush naseeb ho tum , jo tumhare paas hai jinhe tumhari fikr hai  unke liye ji gye tum to woh pyaar hai
 pyaar pyaar Zindgi ko sahi mayne de deta hai yeh pyaar
                    Pather ko bhi mom bna deta hai yeh pyaar
Pyaar her kisi ke bus ki baat nhi  , dil tutne ka dard sh ker bhi jo pyaar kre woh pyaar hai

Friday 9 November 2012

Tujhe khone ko dil nhi kerta

Tujhe paane ki Iss Liye Zidd Nahi karte ke Tujhe khone ko Dil nahi
karta,

Tu Milta hai Toh iss Liye Nazre Nahi Uthaate ke Phir Nazren Hataane ko Dil Nahi karta,

Dil Ki Baat Iss Liye Tujhse Nahi Karte ke Apna dil dukhane Ko dil
Nahi karta,

Khwabon mein Iss Liye Tujhko Nahin Sajaate ke Phir Neend Se
jaagne ko Dil Nahi karta...

Friday 26 October 2012

apne hi aks se kahan koi dur reh paya


shukriya  shukriya sukriyan  eh khuda
jo tune mujhe usse milaya 
dur hai woh aaj mujhse
per meri her aaht main woh hai smaya
na jane kyun hhua pyaar humme usse
per humne is pyaar main khud ko hai paya
kuch khoya nhi maine is pyaar main
bus use nhi hai maine paya
 bahut kuch sikha gya woh mujhe
ab to naam uska her pal meri zubann per hai aaya
nhi bhula sakte hum usko
per fir kyun nhi humne uska saath nibahya
shayad yeh halat sahi nhi hai
ya phir shayad humme itni kabiliyat nhi ki
 jakhm dekr bhi humne usse, nhi usse bhulaya
sochti thi dur ja sakti hun main usse 
per apne hi aks se dur koi kahan rh paya
nhi reh sakti uske bina 
woh to hai meri saanson main smaya

Thursday 25 October 2012

Kaisa hai dard ka yeh silsila


bin tere oh mere humdum , aaj akhir kyun sab khamosh hai
      mera khuda bhi shayad aaj mujhse rutha hua hai
mere apne to shayad ab mere apne nhi rhe
      per us khuda ke bina kisse karu shikwe
kisse karun baatein apne dil ki
      shayad woh kuch kehna chahta tha mujhse
per maine apni hath main uski  ek na suni
      shayad main bahut buri hun eh khuda maine hi usse sabse bda dard de diya
eh khuda kyun ker rhi hun main yeh sab mujhe nhi hai pta
      shayad bhag rhi hun sachai se aakhir kyun uska dard meri aankhon main se hai chalak rha
kyun aakhir ek pal bhi usse soche bina nhi sakti main 
       maine aisa kya gunaah kiya ki aaj himmat hi nhi usse kuch kehne ki
soch rhi hun agar kabhi samna kerna pda mujhe uska 
       kaise karungi samna uska, main to uska her dukh kum kerna chahti thi
aaj maine hi uske dard ka silsila shuru hai ker diya
       eh khuda main uski dosti ke layak hi nhi isiliye aaj maine usse har ristha hai todh diya 
Kehne ko to hum baat nhi ker rhe ab se shayad itni dooriyan aa gyi hain humme
      Ki yeh fasle chahte hue bhi tay nhi  hum ker sakte
Use shikayat hai kyun maine use aise chod diya
     Aur mujhe shikayat thi usse jo, woh kabhi wo samjh hi nhi sakka

Wednesday 24 October 2012

Jalte hain log apni mohobat se kyun aakhir

Khwabon main maine tujhe hi hai sjaya
                       Kyun eh khuda woh bn gya hai mera saya
Ab to neende hai meri aankhon se usne chura li
                       Na jane kyun her pal mere dil ne usse hi chaha
Yaadon main teri aksar bhul jate hain hum khud ko
                       Na sote hai or na thik se jag pate hai hum aaj kal
Kyun kerte hai hum pyaar tumhe itna
                       Kyun tum door hoker bhi aaj bhi mujhme ho shamil
Humne to vaada kiya tha ik  duje se door rehne ka
                       Per kyun aaj kal phir saath hain hum
Jalte hain log apni mohobat se kyun aakhir
                      Humne to unhe kabhi apne pyaar se nhi hai jlaya
Dooriyan to humne sahi hai ek dooje se juda hoker
                     Na jane kyun phir logo ne humme hai staya
Hum to pyaar kerte the ek duje se
                     Phir kyun aaj hmare apno ne hi humme na chaha 

Ashk Main Tu Rashk Main Tu Jaan Main Tu

Tere liye aaj phir ek bar maine khud ko bhula diya
          Dur hun tujhe tere liye
Shayad nhi samjh paoge kabhi tum mujhe
          Ya main samjhana hi nhi chahti kuch tumhe
Bus dur kahin chale jana chahti hun tumse
          derti hun kahin mera is kadar chale jana na rulaye tumhe
Nhi dekh sakti tumhe dard main
          Shayad isliye chup chap challe jana chahti hun tumhari zindgi se
Mujhe galat na samjhna , shayad yeh kehne ka haq nhi mujhe
          Tumhe yun is kadar chod ker jana shayad tum kabhi bhula na sako
Na jane kya likha hai in haathon ki laqueeron main
           Agar hoga saath hmara to hum phir milenge
Nhi to bhula dena mujhe bhi ek bewfa samjh ker
          Aakir saath nhi chodugi tumhara yeh kha tha maine tumhe
tumse juda hone ka gum koi mujhse puche
          Bus khayal hi tumse juda hone ka ashk chalka jata hai
ashk main tu rashk main tu jaan main tu  hi smaya hai